lockdown

 

Covid-19

Lockdown  Khulna


 Lockdown jo  aj harkoi iska name janta hai yh kya hota hai waise to aap sabko pta hai. Pure Country me lockdown ki prakriya suru hai log apne gharo ke bahar nhi ja pa rhe hai logo ka kaam ruk gya hai kitne log khane ke liye kaam khoj rhe but unhe carona ki wajah se kaam nhi mil rha kyuki phle se hi bhut se karkhane aur company isase prabhavit huye hai unke pas khud ka maal sell krne ke liye sadhan nhi hai to dusre ko kya kaam de.Bharat me ab tak 53 lakh se jyada log carona se sankramit ho chuke hai. Pradhan Mantri deshbhar me mahamari sambandhi halat ki samiksha ke liye niymit ruk se baithak kr rhe hai,in baithko me un state pr  jyada dhyan diya jayega jha ki sthiti jyada ganbhir hai.


Inme phle hi, covid-19 sambandit kuchh state me baithak ki gyi thi -


* Maharashtra
* Andra Pradesh
* Uttar Pradesh
* Karnatak
* Tamilnadu
* Pashchim Bangal
* Panjab
* Bihar
* Gujrat
* Telangana


Lockdown agar koi person hota to ise ham kab ka bhaga diye hote na!! but yh carona jaisi khatarnak bimari ki wajah se hua hai hamre Bharat me hi nhi balki pure country me lockdown hua hai . ha iski phli suruaat hamre desh me hua tha hmaki yh kaargar bhi nikala sabhi desho se kaam carona patients hamare desh me nikle. But aap jante ho suruaat me sab log lockdown ka achhe se palan kiye but abhi ke haal me aap khud hi dekhte honge log mask nhi phn rhe hai, jo lagaye bhi rhte hai wh muh pr nhi balki gale
pr lagaye rhne hai jisase carona ka khatra badata ja rha hai. Sach me aap sabke safety ke liye lockdown kiya gya hai halaki aap sabne isme pura sath diya hai. Ab itne mahino se  ghar me rhte rhte bor marta hoga aur bor mare bhi kyu na din bhar ghar me baithe rho duty pr na jao school, college yha tak ki friend se bhi nhi mil pa rhe hai.

Abhi to carona badta hi ja rha hai sabse jyada dekhe to Mumbai me 20 thousand se bhi jyada carona patients daily nikal rhe hai yese me government bhi lockdown ki date bda rhi hai ha kuchh raahte mili hai metro, mall aur shop khole ja rhe hai chote shop jaise kirana jo particular shthyi rup se hai whi khuli thi wo bhi timing se sam se hi dukan band ho jati hai jo nhi hoti pkde jane pr penality dena hota hai. Sach me lockdown ab haad pr kr chuka.

Jaise ki aap jante ho tarah tarah ki apwaye sunayi de rhi hai ki lockdown khul jayega sabki alag alag vichar hai. Please is sab pr dyan na de yh ek bulleten news hoga aap samjhte hai.

quotepaul01


Kya aap soch sakte ho lockdown kab khulega jra aap sochiye desh me abhi to lockdown hai fir yh haal hai agar khul jaye to kya hoga aap sab khud soch sakte ho but kucch state me carona ki halat thik hai wha pr lockdown ki prakriya dheere dheere kam ho rhi hai ha ekdam se khatm nhi hoyi hai. Lockdown yh samjh lijiye jabtak vacacine nhi bn jata tab tak lockdown khulane ki koi sambhawna nhi hai. 2020 samjho yese hi lockdown me jyega ghulne ke baad bhi itna jaldi sab kaam nhi chalu ho pyega, thoda time lagega lockdown khulne ke baad sab thik hone me. Chhote se lekr bde bussiness tak sab affected hua.